[2024] हिंगलिश ब्लॉग कैसे शुरू करें? | Hinglish Me Blogging Kyu Karein? |
Hindi ( हिंदी ) humare bharat desh ki rashtra Bhasa hai. Ye Bharat ke alawa bhi kai aur jagho par boli jaane waali popular languages me se ke hai. Ish post me hum yahi baat karne waale hai ki Hinglish Me Blogging Kyu karein?
Agar aap ek Blogger hain to aapko ye post jarur padhna chahiye.
Aap jaante hain jaise jaise humare desh ne digitalization ki traf badha humare yanha Hinglish ne ek bada rup khada kar liya. Mujhe yaad hai ek jab aap 15 saal pehle ki internet world ki baat karein to internet par News se lekar blogs lagbhag sabhi English me they.
Ya hum ye keh sakte hain ki aapko lagbhag sabhi results English me hi dikhyae jaate they. Par badlte samay ke saath logon ne Hindi aur Hinglish me likhna shuru kiya aur aaj uska natija hum internet par dekh rahe hain ki hume kai sare articles Hindi aur Hinglish me mil jaate hain. To aaiye jante hain Hinglish Me Blogging Kyu karein?
Hinglish Kya hai?
Hinglish, jo Hindi aur English ka mishran hai, Indian internet users ke beech tezi se popular ho raha hai. Yeh bhasha ka ek unique roop hai jisme Hindi ke shabdon aur vaakyion ko English mein likha jata hai. Jaisa ki aap jante hain ki Hindi bhasha ki lipi hai wo devnagri hai aur Hinglish ki lipi roman hai.
Kehne ka matlab Hinglish Hindi aur English ke mishran se bani ek bhasha hai. Jaisa ki aap Hindi me likhate hain आप कैसे हैं? Jo ki devnagri lipi me hain Yahi aap hinglish me likhte hain “Aap kaise hain?”
Hinglish Mein Blogging Kyun Karein?
Agar aap soch rahe hain ki Hinglish mein blogging kyun karni chahiye, toh aayiye is par ek detailed nazar daalte hain.
1. Vyaapak Darshak Varg Tak Pahunch
Bharat mein internet users ki sankhya tezi se badh rahi hai, aur inme se ek bada hissa un logon ka hai jo Hindi aur English dono bolte aur samajhte hain. Hinglish mein blogging karne se aap un laakhon users tak pahunch sakte hain jo Hinglish mein content padhna pasand karte hain. Yeh khaas tor par un logon ke liye faaydaymand hai jo poori tarah se English mein sahemi nahi hain, lekin Hindi aur English ka mishran samajh sakte hain.
2. Bhavnathmak Judav Aur Sarlta
Hinglish mein likhne se readers ke saath ek bhavnathmak judav banta hai. Yeh bhasha aam bolchal ki bhasha ke adhik nikat hoti hai, jisse readers khud ko adhik juda hua mehsoos karte hain. Iske alawa, Hinglish mein blog likhna saral aur swabhavik hota hai, kyunki yeh rozmarra ki bhasha ko darshata hai.
3. SEO Aur Traffic Badhane Ke Avsar
Hinglish mein likhe gaye blog posts Google aur anya search engines mein uchch rank kar sakte hain, kyunki adhiktar Bharatiya users Hinglish mein search karte hain. Udaharan ke liye, koi user “best smartphone under 10000” ki jagah “10,000 ke neeche best smartphone” type kar sakta hai. Aise mein Hinglish mein blogging se aapke blog par organic traffic badh sakta hai.
4. Samagri Ka Vaividhya
Hinglish mein blogging se aapki samagri mein vaividhya aata hai. Yeh aapko vibhinn vishayon par aasani se likhne ki swatantrata deta hai, chaahe woh technology, yatra, khana, fashion, ya koi anya vishay ho. Yeh vaividhya aapke blog ko adhik akarshak aur rochak banata hai.
5. Sthaniya Brands Aur Vignyapan Daaton Ka Samarthan
Kai sthaniya brands aur advertisers Hinglish mein prachaar karne ke ichchhuk hote hain, kyunki yeh bhasha unke lakshit bazaar ke adhik nikat hoti hai. Hinglish mein blogging se aapko aise brands ke saath sahyog karne ke adhik avsar mil sakte hain, jisse aapki aay mein vriddhi ho sakti hai.
6. Badhati Lokpriyata Aur Trend
Hinglish ki lokpriyata badh rahi hai, khaaskar yuvaon ke beech. Social media platforms, jaise Facebook, Instagram, aur Twitter par Hinglish ka vyaapak upyog ho raha hai. Is trend ka hissa ban kar aap apne blog ko trendy aur up-to-date rakh sakte hain, jo adhik readers ko akarshit kar sakta hai.
India Me Hinglish ka Future:
Bharat humara ek aisa desh hai jisne humesha latest trends ko apnaya hai chahe wo Technology ho, Fashion ho, Ya fir language ho. Jaise ki aapko pata hoga bharat me sabse pehle boli jaane wali bhasha Sanskrit thi, fir hindi aaie, Muglon ke shashan ke dauraan urdu bhi yanha aaie aur Angrejo ke wajah se English bhi ish desh me chali. Lekin aaj social trend me hinglish bhi popular ho raha hai.
India Me Agar Bollywood ki baat karein to ye kai time se hinglish ka use kar rahe hain. Aapne films ke poster dekhe honge jisme Hindi ya hinglish me hi advertisement kiya jaata hai. Jaise ki
- हम दिल चुके सनम – Hum Dil chuke sanam
- दोस्ती – Dosti
- शोले – Sholay
To thoda bahut hinglish ka use humne films ke poster par dekhte aa rahe hain.
Ab Agar Baat karein Advertisement ki to apne yanha hinglish ka bahut vyapak prayog hua hai. Aap jo TV ke upar advertisement dekhte hain usme bhi hinglish ka use lagbhag sabhi brands kar rahe hain.
Yanha Kuch videshi brands ki list hai jo ki advertisement me apne brands ka tagline hinglish me rakhte hain aap ne bhi dekha hoga.
Videshi Ya Bade Brands Ka Hinglish Me Advertisement
- Hungry Kya (Are you Hungry?) – Domino’s Pizza
- Yeh Dil maange more (The heart wants more) – Pepsi
- Pal banaye magical (Make every moment magical) – Lays
- Life ho to aisi (Life should be life this) – Coca Cola
- What your bahana is? (What’s your excuse eating McDonalds instead of home-cooking?) – McDonalds
- Hum mein hai hero (There’s a hero in everyone) – Hero Motocorp
- Kya aap Close Up karte hain? (Do you use Close-Up toothpaste?) – Close-Up
- Come on girls, waqt hai shine karne ka! (Come on girls, it’s time to shine!) – Sunsilk
To kehne ka matlab india me aapko apna product bechna hai ya Brand ko popular karna hai to Hinglish ka sahara lena hi padega. Jaisa ki ek tagline bahut famous hua tha. “Aur Kya Chal Raha hai- Aaj kal To Fogg Chal Raha hai- FOGG Perfume.
Hinglish Me Blogging Kyu Karein?
Bahut time se Bloggers ke bich ye confusion hai ki Hinglish me Blogging karein ya hindi me. Agar mujhse ye baat pucha jaye to main ye kahunga ki ye aapki ruchi par nirbhar karta hai. Hinglish ek Unofficial language hai.
Lekin Hindi ke samriddh bhasha hai. Aap jish language me chahein usme blogging kar sakte hain. Abhi aapne dekha hoga ki google bhi apne search results Hindi me dikhata hai.
Maine Hinglish Me Blogging Kyu chuni?
#1 Reason- English Me Achi Pakad na Hona:-
Sach bataun to mera haath English me thoda tang hai. Maine shuruaat me yahi kosis ki thi ki English me hi blogging karun. Lekin English par 100% pakad na hone ki wajah se main kai baar dusre blogs se article copy kar leta tha. Jo ki galat tha.
Fir maine socha ki aise copy paste kar ek successful blog nahi banaya jaa sakta hai. Fir maine apne blogs ke Hinglish ko chuna.To kehne ka matlab aap jisme comfortable hokar likh sakte hain usi language me blogging karein. Hinglish me mujhe ye darn ahi lagta ki maine koi sentence Grammatically wrong likha hai ya kisi word ki spelling wrong likhi hai.
#2. Reason- Hindi Me Likhna Mushkil Hai:-
Bahut logon ne Mujhse ye bhi pucha ki aap hindi ko bhi blogging ke liye chun sakte they. Bilkul hindi ek bahut acchi bhasa aur jo hindi me blogging karte hain unko main dil se dhanayawaad deta hun, Kyunki hindi me likhna thoda mushkil hai. Hinglish ki apeksha hindi me adhik time lagta hai.
Saath hi hindi me likhte waqt aapko apni bhasha ki sudhta k abhi khyaal rakhna padta hai. Kuch aise bhi shabd hai jinka hindi anuwaad thoda mushkil ho jaata hai aur samay bhi adhik lagta hai isliye bhi maine Hinglish ko chuna.
#3.Reason- SEO Ke Liye Hinglish Best hai :- Nahi main aapko ye nahi keh raha ki hindi blog ka aap seo nahi kar sakte hain. Bilkul kar sakte hain. Par yanha ek chhoti samsya ye hai ki hindi me bahut kam log search karte hain.
Mostly users English ya Hinglish me search karte hain. Ab jaise main Example de raha hun. Mujhe Google Pixel Phone ke Features ke baare me search karna hai.
English Search: What is The Features Of Google Pixel Phone
Hinglish Search: Google Pixel Phone ke Features Kya hain?
Hindi Search:- गूगल पिक्सएल फ़ोन में क्या फिचेर्स हैं?
Ab aap hi decide kijiye aap me se kitne users hindi keyword ke saath Google me search karte hain. Waise English ya Hinglish keyword ke saath bhi hindi results show hotey hain lekin kam hotey hain. Hindi me Keywords ko target karne ke liye post ke bich me English Keywords use karne hi hotey hi hain.
Saath hi hinglish me aap easily seo karte hain aur keyword bhi target kar sakte hain. Waise Google ke alawa other Search engine bhi Hinglish ko hindi jaise hi treat karte hain. Isliye Hindi ya Hinglish Search me bhi results lagbhag aapko same hi milte hain.
#4. Reason- Hinglish Audience ka badhna
Ye main apne personal level ke experience pe keh sakta hun ki hinglish ke audience badh rahe hain aur log isey pasand kar rahe hain. Main Ek Telecom Engineer hun to india ke different place pe main apne Telecom projects ko pura karne ke liye gaya hun.
Janha ek baat mujhe samjh aaie ki apne country me Hindi font ko padhne me logon ko mushkil hoti hai. Wo Hinglish to padh lete hain par hindi padhne me unhe pareshani aati hai. Main Bengal ya north east ke kuch jaghon par gaya janha log hindi samjh to lete hain par bol nahi paate acche se ya likh nahi pate hain. Aise audience bhi Hinglish ke saath connect ho sakte hai.
#5.Reason- Google Supports Hinglish
Google Hinglish ko support karta hai, Filhal isme koi shak nahi hai. Google Adsense Jin languages ko support karta hai usme Hinglish ka naam nahi hai. Lekin adsense Hinglish ko bhi support karta hai. Aapko darne ki jarurat nahi hai kyunki hinglish ka user base bhi bahut bada hai to hinglish ko google ban kar dega iske chances naa ke barabar hain.
Agar aisa hi hota to Google ka keyboard “G Board” multiple languages ko support karta hai aur usi language me ek naam Hinglish ka bhi hai.
Nishkarsh
Hinglish mein blogging karna ek smart aur prabhavi tareeka hai Bharatiya darshakon tak pahunchne ka. Yeh na sirf aapke readers ke saath ek gahra judav banata hai, balki SEO, traffic, aur brand sahyog ke drishtikon se bhi faaydaymand hai. Isliye, agar aap ek blogger hain aur ab tak Hinglish mein blogging nahi kar rahe hain, toh ab samay aa gaya hai ki aap is disha mein kadam badhayein aur apne blog ko naye unchayiyon par le jayein.
Hinglish bhi blogging ke liye best hai aur future bhi accha hai. Haan hinglish me likhte waqt aapko kuch words ka khayal rakhna chahiye. Kyunki baar words ke ulte matlab naikal aate hain. Ye aapko choose karna hai aapke liye kaun sa language sahi hai. Aur kish language me aap comfortable hain.
Mujhe ummid hai aap ye samjh gaye honge maine Hinglish me blogging maine kyu ki aur kyun aap bhi hinglish ko apne blogging ke liye choose kar sakte hain.
Bhaut hi accha aur helpful article likkha hai aaone
Thank You Asif Aapko Ye Post Pasand aaya. Ummid hai aapko yanha aur bhi acche Articles Mil Jayenge.
Nice bruh
Sir kya ap mjhe hinglish mein blogging krne ke niches bta skte hai jisey paisa bnta ho
Sir mera blog motivational v educational topics pr h to mujhe kisme likhna chahie. Ap mera blog dekh kr btae?
Hinglish Is Good Lekin Hindi Is Love! Dusri Baat Hindi Padhne Me Jyada Aaasan Hoti Hai 😍😍😍😍
Thanks Abhishesk Ji,
Ji par kuch wajah Se hinglish me karni padti hai.
Is post ko baar bar read karta hu mujhe motivational milta hai thanks sir
ये बहस कभी खत्म नहीं होगी की हिंगलिश में ब्लॉग लिखना चाहिए या हिंदी में ?
इस पर सारे ब्लॉगर के अलग अलग राय है…मुझे लगता है की अभी हिंगलिश में लिखना ज़यादा लाभदायक है लेकिन गूगल और इन्टरनेट की दुनिया में हो रहे बदलाव को देखते हुवे ये लग रहा है की आने वाले वक़्त में हिंदी की पकड़ इन्टरनेट पर ज़यादा मजबूत होगी.
गूगल हिंदी के लिए रोज़ नए नए टूल्स पर काम कर रहा है…डोमेन नेम हिंदी में मिलने शुरू हो गए और अब तो आप गूगल में कुछ हिंगलिश में सर्च करो तो top 10 सर्च रिजल्ट में 2 से अधिक हिंदी साईट या ब्लॉग का एड्रेस और नाम hota है.
मुझे तो लगता है की आने वाला कल हिंदी का होगा जब की वर्तमान हिंगलिश का है,इसमें कोई शक नहीं है.
वैसे आप का ये पोस्ट बहुत अच्छा है,पढ़ के अच्छा लगा.
आपकी बात सही है. आने वाले टाइम में क्या होगा इसका अंदाजा लगाना मुश्किल है.
Bahut Hi Achcha POst Likha Hai. Thanks
Sir Hinglish mei post likhne k time Hindi word use karna achha hoga?
Hinglish to Google Adsense support nahi karte. Ab akbar google ads ke support list me dakhiya, or Answer Please dijiya. I am waiting to your answer.
Hindi main Kyu nhi likh sakta hai banda aasani se iska jwab aap logo ne apne comments ko likh ke de diya hai, samajdar ko ishara kafi hai. by the way Article bhut acha hai bhai aur main aapse help lena chahunga agr aap help kroge toh, regarding blogging?
Aapka Comment abhi Approve hona baki hai.
sir, mai aapki sabhi blog ko padhata hu .mujhe aapki sabhi blog achchhe lagte hai .mujhe aapke support ki bahut jarurat hai. mai ek chhota blogger hu .mai apne padhai ka kharcha nikalna chahta hu .mai bahut mehnat bhi karta hu. pr merewebsite pr views nahi aa rahe hai .mere 4-5 blog first pr rank kar rahe hai .phir bhi views nahi aarahe hai.mai 4 saal se mehnat kar raha hu.mai thoda bhi investment nahi kar sakta .mere pita ek kisan hai .
https://india-technice.blogspot.com/2020/03/whatsapp-stickers-for-good-morning.html
https://india-technice.blogspot.com/2020/03/students-3-apps-top-three-apps-for.html
https://india-technice.blogspot.com/2020/03/likee-app-likee-5-tips-to-earn-money.html
https://india-technice.blogspot.com/2020/02/patanjali-5g-sim-script-for-blogger.html
sir please meri koi madad ki jiye .agar aapka koi kaam hoga to mai karne ke liya taiyar hu.sir please help me .
Hi Amrit Sabse pehle to thanks aapko mere blogs pasand aaye. Aapki blog ko maine visit kiya. Sabkuch sahi hai. Par main aapko suggest karunga agar aapka budget utna nahi hai to koi baat nahi. Par aap ek domain purchase kar lo aur usko blog par set kar do. Aur regular mehnat kijiye. Ummid hai jaldi hi aapka Adsense bhi approved ho jayega. Aur earning bhi acchi ho jayegi. Agar koi help chahiye to aap mujhe mail kar sakte hain. Thanks.
Hello bhai kaise ho . Bhai i really loved your content, bhai me bhi blogging krta hu i mean me blogging start krke chod deta hu because koi success nhi milta bhai merko hinglish me blog likhna bohot pasand hai but problem yeh hai ki mai kyi vrri irritate ho jata hu ki kya content likhu or traffic kaise aayega or kya alag alag content daal sakte he ek hi website mai and bhai main question ki (hinglish me agar blog likh rahe he to language setting konsi karein hindi ya english?) And bhai or bohot se questions he jo clear nahi ho rahe . Thank You 🙂
Very Nice post sir ji. Maja aa gya post read karke.
hi Nitish, Mujhe aapka yeh article bahut pasand aaya. mein kuch esi kashmaksh mein tha, ki mein Kahin, hinglish ka blog start karke galti toh nahi ki, waise meine haal hi mein digital mkting ka course shuru kiya tha, aur wahin blog bananey ka mauka bhi mila.
aap kaafi experienced blogger lag rahe hai ..Pls mujhe suggestion dete rahiyega…mein blogging ki duniya mein bahut naya hoon.
Thanks for the Tips! Me apke blog pad ke bahut hi inspire hua hu aur ek blog start kiya hai hinglishblog.com ap logo ke support ki atyaadhik awshyakta hai.
Keep writing such informative articles.
Cheers!
Aapka blog me Jo past likha hai use padhkar humar answer mil Gaya thank you
Thank you sir apke vajah se Hinglish ke bare me pata chala , au aap se inspired hoke mene bhi Hinglish me blog likhna chalu kiya he . Aap bhi kuch suggest kar sakte he
https://how2starts.com/ ye mera link he aap bhi ek bar check kijiye
Very nice sir always with love you sir
Sir kya adsense aage bhi hinglish ko support karega ya nahi please answer me.
Aapki blog read karke bahut sare sikh ne ko mila.
Hello, kya m English or Hindi dono lauguage website me use kr skta hu, koi problem to nhi hogi. Like Adsence account safe rhega kya?
Bhaiya mai bhi soch rahaun ek hinglish blog start karne ke liye…kia iss ham rank kar sakte hai?
Interesting blog, thanks for sharing..
Hello sir,
Main Apni Website par english content likta tha par hall hi mein maine Hinglish mein Article Likhna Shuru Kiya.
Ab bas ek question hai li Hinglish mein mein Continue karu ya English.
Kyuki English mein Traffic jaada hai or Hinglish kam.
Please Must Reply
Thanks
Thanks mai aapka blog padh kar bahut kuchh sikha bahut achha laga, mai bhi ek blog banaya hoon check kar sakte ho. testoware.com